Description: Bekhayali - Acoustic Dhavni Bhanushali Mp3 Song Download, Bekhayali - Acoustic mp3 song by Dhavni Bhanushali from album Bekhayali - Acoustic. This song lyrics written by Irshad Kamil and it's music composed by Sachet - Parampara. This latest New Talent song Bekhayali - Acoustic released by label S.p Vedios Music on 23 Jul 2019. Bekhayali - Acoustic song playtime is . This song Belong to New Talent category.
Bekhayali mein bhi tera hi khayal aaye
Kyun bichhadna hai zaroori? ye sawaal aaye
Teri nazdeekiyon ki khushi behisaab thi
Hisse mein faasle bhi tere bemisaal aaye
Main jo tumse door hoon
Kyun door main rahoon?
Tera guroor hoon
Aa tu faasla mita
Tu khwaab sa mila
Kyun khwaab tod doon?
Bekhayali mein bhi tera hi khayal aaye
Kyun bichhadna hai zaroori ye sawaal aaye
Thoda sa main khafa ho gaya apne aap se
Thoda sa tujhpe bhi bewajah hi malaal aaye
Hai ye tadpan, hai ye uljhan
Kaise jee loon bina tere?
Meri ab sab se hai ann ban
Bante kyun ye Khuda mere?
Hmm…
Ye jo log baag hain
Jungle ki aag hain
Kyun aag mein jalun?
Ye nakaam pyaar mein
Khush hai yeh haar mein
Inn jaisa kyun banun?
Raatein dengi bata
Neendon mein teri hi baat hai
Bhoolun kaise tujhe?
Tu toh khayalon mein saath hai
Bekhayali mein bhi tera hi khayal aaye
Kyun bichhadna hai zaroori? ye sawaal aaye
Nazron ke aage har ek manzar
Ret ki tarah bikhar raha hai
Dard tumhara badan mein mere
Zeher ki tarah utar raha hai
Nazron ke aage har ek manzar
Ret ki tarah bikhar raha hai
Dard tumhara badan mein mere
Zeher ki tarah utar raha hai
Aa zamaane, aazma le, roothta nahi
Faaslon se hosla ye tootta nahi
Naa hai woh bewafa aur na main hoon bewafa
Woh meri aadaton ki tarah chhootta nahi